Tu aandhi hai toofan hai,
Tujhme bhi jalti aag hai;
Jiske tale rahe duniya roshan,
Tu hi vo jalta chirag hai.
Kuch kar guzar,
Sabko dikhana hai;
Apne naam ka sitara,
Aasman me chamkana hai.
Honsale buland rakh,
Sabko batlana hai;
Himalaya ki choti par bhi,
Apna naam likhana hai.
Apne wajood ko zinda rakh,
Kuch kar guzar jana hai;
Apne bhaya par vijay pakar,
Vijay dhvaj leharan hai…