Maa

Ghutno par rengte rengte ,

Kb pairo par khada hua;

Teri mamta ki chhanv me,

Jane kab maa bada hua.

Chot jab bhi mujhe lagi,

Dard hmesha tujhe hua;

Teri vo jaadu ki jhappi,

Dard na jane knha gaya.

Bhuk kabhi jo mujhe lagi,

Pet tera bhara hota;

Tere hisse ka niwala bhi,

Mere naam ka hi hota.

Nind jab bhi mujhe aati,

Hota aanchal tera saja hua,

Main kanhi uth ke ro na padu,

Teri nind ka pitara bhara hota.

Kitni taqleef kitne dard,

Par sukoon hmesha chehre pe;

Kaash ek din kaabil banu,

Tujhe sach me sukun dilane me.

Sab kuch apna vaar diya,

Par ek shikan jo dikh jaye;

Kis mitti ka tohfa h,

Vo jo MAA kehlaye.

Poetry

Main hu ek nanhi si chidiya,

Mere honsalo ki udaan abhi baki hai;

Mat maro mujhe yun bojh samajhkar,

Mere hone se hi to bahar abhi baki hai.

Mat lagana ankush mere irado par,

Mera pankh failana abhi baki hai;

Mat koshish karna mujhe jhukane ki,

Kuch kar guzarne ka zazba abhi baki hai…

Motivation poetry

Tu aandhi hai toofan hai,

Tujhme bhi jalti aag hai;

Jiske tale rahe duniya roshan,

Tu hi vo jalta chirag hai.

Kuch kar guzar,

Sabko dikhana hai;

Apne naam ka sitara,

Aasman me chamkana hai.

Honsale buland rakh,

Sabko batlana hai;

Himalaya ki choti par bhi,

Apna naam likhana hai.

Apne wajood ko zinda rakh,

Kuch kar guzar jana hai;

Apne bhaya par vijay pakar,

Vijay dhvaj leharan hai…